Wednesday, May 9, 2018

Jigar : Allah Agar Taufiq Na De

Ali Sikandar 'Jigar Muradabadi' (1890-1960) has a special place in the history of Urdu poetry. He wrought a Sufiyana qalam with both the flamboyance of a Ghalib and the emotional depth of a Mir.




Allāh agar taufīq na de insān ke bas kā kaam nahīñ
faizān-e-mohabbat aam sahī irfān-e-mohabbat aam nahīñ

If Divine help be withheld from one, mere mortal's work it's never so
Conquests of love are common it's true; Knowledge of Love, never so.

Yā Rabb ye maqām-e-ishq hai kyā go dīda-o-dil nākām nahīñ
taskīn hai aur taskīn nahīñ ārām hai aur ārām nahīñ

Lord, what station this of Love? where the perceptive of heart never fail
Peace there is, yet there is none, comfort ever there, and yet never so.

Kyuuñ mast-e-sharāb-e-aish-o-tarab taklīf-e-tavajjoh farmā.eñ
āvāz-e-shikast-e-dil hī to hai āvāz-e-shikast-e-jām nahīñ

Why spoil the heady enchantment of drink, forcing hard attention on -
Voices of hearts strangled are, may the Voice of Wine be never so.

Aanā hai jo bazm-e-jānāñ meñ pindār-e-ḳhudī ko toḌ ke aa
ai hosh-o-ḳhirad ke dīvāne yahañ hosh-o-ḳhirad kā kaam nahīñ

When come'st thou to Beloved's hall, bring not with thee the Pride of Self
O Thou madden'd by Reason and Sense, here Reason or Sense? never so.

Zāhid ne kuchh is andāz se pī saaqī kī nigāheñ paḌne lagīñ
maikash yahī ab tak samjhe thhe shāista daur-e-jām nahīñ

The Pious one tried to drink in style, Cup-bearer's looks in askance were drawn
The drunkards had hitherto thought, gentle'd goblet's pass, could be never so.

Ishq aur gavārā ḳhud kar le be-shart shikast-e-fāsh apnī
kuchh dil ki bhi un ke sāzish hai tanhā ye nazar kā kaam nahīñ

Love made disappear rapidly, condition-less, all my obvious lacks
Heart must've conspired with Her, for work of lonely gaze 'twas never so.

No comments:

Post a Comment